Qutub Ki Shaam, Tumhare Naam
— jab waqt ruk gaya tha kuch der ke liye...

Qutub Minar sirf ek imaarat nahi thi us din,
wo ek gawah tha —
tumhari hansi ka,
meri nazar ka,
aur humari us shaam ka,
jisme suraj dhal raha tha,
aur dil... tumhari ore chadh raha tha।
Mithi masti thi us waqt,
tumhare jokes, meri aankhon ka jawab,
hum dono, us bheed mein bhi alag the —
jaise duniya se chhup kar
sirf ek dusre ke liye likhe gaye ho।
Wo sunset,
jo humne saath देखा —
koi rang, koi roshni,
koi tasveer nahi kehti
jo tumhare chehre pe us waqt tha...
Phir hum baith gaye ek chhoti si khidki mein —
tum mere paas,
aur strangers ki baatein aaspaas —
par mujhe sirf tumhari aankhon mein
apni duniya mil rahi thi।
Security uncle se chhupkar baithna,
tumhara woh halka sa darr,
aur mera tumhara haath pakad lena —
yeh sab,
kisi script se nahi,
ek asliyat bhare pyaar se likha gaya tha।
Aur haan,
jab tumne apna pair mere god mein rakha tha —
woh koi gesture nahi tha,
woh ek vishwas tha —
ki hum dono ek doosre mein
ghar dhoondhne lage the।
Pics bhi click kiye the —
ek frame mein hum,
do muskaan, ek suraj
aur ek shaam jo ab bhi dil ke album mein chamakti hai।
Comments