Jaipur: Ek Sapne Jaisa Safar
— Ek Seat Mein Do Safar

Tumne do tickets book ki thi,
par hum ek seat mein the —
tumhara god, mera sir,
aur der raat ki wo bus journey,
jisme neend se zyada tumhara paas hona tha.
Hum jaipur pahunche,
aur jis kamre mein thehre,
usme sirf ek bed nahi,
ek ghar basa diya tha humne.
Subah tumhara birthday —
aur tum der tak soye rahi...
main chupke se nikla,
jo mila, tumhare liye le aaya,
kyunki uss din tum meri subah thi.
Wo chhoti si galiyaan,
aur ek jharokha,
jisme se sheher dekhte hue tumne kaha tha —
"kaash waqt yahin ruk jaaye."
Aur mujhe sab yaad hai —
tumhara birthday cake,
shaam ka woh celebration,
phir tumne mujhe sajaya —
kajal, bindi, saree, lipstick…
tum khud bachhi ban gayi thi,
aur main…
tumhari aankhon mein woh muskaan dekhkar,
jeet gaya tha.
93 kilometer...
ek din mein,
scooty pe humne poora Jaipur ghoom liya —
Jal Mahal, hawaon ki galiyan,
aur har mod pe ek nayi baat,
ek nayi tasveer.
Woh kamra…
jahan tum azaad thi,
jahan kisi ne nahi poocha —
“kab wapas aaogi?”
Jaipur mein tum meri thi — bina kisi dar ke.
Aur main?
main bas khush tha,
ki tum muskara rahi ho…
Aaj bhi woh bus ride yaad hai,
aur tumhara kandhe pe sir rakhna…
jaise poora jivan uss ek lamhe mein band ho gaya ho.
Aur haan —
sach kaha tumne,
sab yaadon ko shabd nahi chahiye hote…
kuchh bas ehsaas ban kar rehte hain,
aur wahi sabse gehri baatein keh jaate hain…
Comments