Craft Museum Mein Tum
— ek angan, ek jhopadi, ek yaad

Kya tumhe yaad hai,
wo angan jahan hum der tak baithe the,
jahan dhoop bhi halki thi, aur baatein gehri —
pass mein ek chhota sa doggie,
aur hum dono —
jaise kisi purane lokgeet ka joda,
bina sur ke bhi sangeet tha.
Wahi jagah thi na...
jahan tumne Jaipur wala surprise diya tha,
tumhare aankhon ka wo chamak —
mujhe chhupkar khushi dene ka jazba...
main kuch kah nahi paya tha uss waqt,
par uss din tum mujhe aur bhi pyaari lagne lagi thi.
Aur andar —
wo mitti ka ghar, jhopadi ke paas hum dono,
zamin par baith ke ki gayi lambi baatein...
tumne meri ek photo li thi sarees ke pass,
main muskuraya tha,
kyunki uss muskaan mein tum thi —
tumhara dekhna, tumhara rukna,
tumhara “click” kehna...
Aur jab hum wapas aaye —
gate ke paas baith kar kuch khaaya,
hawa thandi si thi,
aur dil poora bhar gaya tha tumse.
Yeh jagah, yeh yaadein...
koi shor nahi, koi jaldi nahi —
sirf hum dono,
aur ek aangan jismein mohabbat palti hai.
Comments